اردو والی پوئٹریUrdu Wali Poetryउर्दू वाली पोएट्री
واپس
ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیںابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیںتہی زندگی سے نہیں یہ فضائیںیہاں سینکڑوں کارواں اور بھی ہیںقناعت نہ کر عالم رنگ و بو پرچمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیںاگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غممقامات آہ و فغاں اور بھی ہیںتو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیراترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
Sitaaron se aage jahaan aur bhi hainAbhi ishq ke imtihaan aur bhi hainTahi zindagi se nahin ye fazaayenYahan saikdon kaarvaan aur bhi hainQanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu parChaman aur bhi aashiyaan aur bhi hainAgar kho gaya ik nasheman to kya ghamMaqaamaat-e-aah-o-fughaan aur bhi hainTu shaheen hai parvaaz hai kaam teraTire saamne aasmaan aur bhi hain
علامہ اقبالAllama Iqbal · 1877 – 1938تمام کلام ←
0
Yashwa Arif
پوسٹ کیا
Yashwa Arif

Yashwa Arif is the founder and editor of Urdu Wali Poetry, a free home for Urdu poetry lovers, based in Pakistan. He writes and researches…

تبصرے (0)

سب سے پہلے داد دیں!